Salamabad: Sadar mumlikat ke intikhab ke liye hakoomati ittehad ki taraf se Asif Zardari aur opposition ki taraf se Mahmood Achakzai ke kaghazat namzadi jama karwa diye gaye.
People's Party ki janib se party rahnuma Farooq H. Naik ne sabiq sadar Asif Zardari ke kaghazat Islamabad High Court mein prizeeding officer ke paas jama karwaye.
Chief Justice Islamabad High Court Aamir Farooq ne Asif Zardari ke kaghazat namzadi wusool kiye.
Pakistan People's Party ki janib se Asif Zardari sadarti ummidwar honge jab ke Bilawal Bhutto apne walid Asif Zardari ke tajwez kandeh aur Farooq H. Naik tasdeeq kandeh hain.
Dosri janib Sunni Ittehad Council ne sadarti intikhab ke liye Mahmood Khan Achakzai ke kaghazat-e-namzadi jama karwa diye jo PTI rahnuma Latif Khosa ne Islamabad High Court mein jama karaye.
Is moqay par Latif Khosa ne Justice Aamir Farooq se mukalma kiya ke hum samajh rahe the aap chamber mein chai kar chaye waghera pilayenge, is par Justice Aamir Farooq ne kaha ke chai to us ke baad bhi aap ko pila denge, Umar Ayub aur Ali Mohammad Khan sahib bhi is adalat mein pehli baar aaye hain.
Is par Ali Mohammad ne kaha ke mein is adalat mein insaaf mangne aata raha hoon.
Justice Aamir Farooq ne sawal kiya ke Khosa sahib aap apna poora naam kya likhte hain? Is par Latif Khosa ne kaha ke meri party ab zor deti hai ke naam ke sath Sardar likhun, Justice Aamir Farooq ne kaha ke aap ko naam ke sath Sardar zaroor likhna chahiye.
Sadarti intikhab ke liye Islamabad se 5 ummidwaron ne kaghazat-e-namzadi jama karaye jin mein Asif Zardari aur Mahmood Achakzai ke ilawah Azad ummidwar Advocate Asghar Ali Mubarak, Wahid Kamal aur Shahri Abdul Qadus ne bhi Sadr-e-Pakistan ke liye kaghazat-e-namzadi jama karaye hain.