Shehbaz Sharif ko qaid e aewan ke intikhab se qabal hi wazir-e-azam ki security faraham kar di gayi

Muslim League N ke sadr Shehbaz Sharif ko qaid e aewan ke intikhab se qabal hi wazir-e-azam ki security faraham kar di gayi.

Qaumi assembly ke aaj hone wale ijtima' mein naye qaid e aewan aur mulk ke naye wazir-e-azam ka intikhab ho ga jis ke liye arakeen qaumi assembly ki parliament house amad jari hai.

Shehbaz Sharif, Muslim League N, Peoples Party aur ittihadi jama'aton ke umidwar hain jinhein 200 umidwaron ki himayat hasil hai jabkeh un ke mad muqabil Sunni Ittehad Council ke Umar Ayub Khan hain jinhein 91 arakeen ki himayat hasil hai. Qaid e aewan muntakhib hone ke liye 169 arakeen ki himayat lazmi hai.

Shehbaz Sharif, Umar Ayub, Asad Qaiser, Khursheed Shah, Khawaja Asif, Nawaz Sharif, Hamza Shehbaz aur digar arakeen qaumi assembly ijtima' mein shirkat ke liye parliament house pahunch gaye hain. Zarai ka batana hai ke qaid e aewan ke intikhab se qabal hi Shehbaz Sharif ko wazir-e-azam ki security faraham kar di gayi hai.

Zarai ke mutabiq Shehbaz Sharif mukammal security hisar mein parliament house pahunchay jahan unhone ittihadi jama'aton ke arakeen ke aizaz mein nashte ka ahtimam kiya aur khitab bhi kiya.

Previous Post Next Post