Google Play Store se Indian shadi ki websites kyun hata raha hai?

Duniya bhar mein istemal hone wale search engine Google ne Play Store se services fees ki adayegiyo par jari tanaza ke pesh nazar 10 Bharati companies ko apps se hataane ka aghaaz kiya hai jismein Bharat Matrimony jaisi mashhoor shadi ki applications shamil hain.

Shadi ki mashhoor Bharati app Bharat Matrimony ne 50 million se zyada users ke saath Bharat mein maqbuliyat hasil ki hai.

Ghair mulki khabar rasaa'n idaray ki report ke mutabiq ye iqdaam is waqt samne aya hai jab Bharati startups Google ke tareeqa amal ke khilaaf ehtijaaj jari rakhe hue hain, khaaskar is ke un apps fees charges ke khilaf.

Matrimony.com ke banne Murugavel Janakiraman ne tashweesh ka izhaar karte hue kaha ke 'ye Bharat ke internet ke liye aik siyah din hai, hamari apps aik aik karke hata rahi hain, is ka matlab hai ke shadi ki tamam top ki websites aur apps ko khatam kar diya jayega'.

Report ke mutabiq ye tanaza Bharati startups aur Google ke darmiyan is waqt shuru hua jab Google ki janib se app ki adayegiyo par fees mein izafa hua aur Bharati web apps ne wo maanne se inkaar kiya.

Google ne Matrimony.com aur Info Edge ko Play Store ki khilaf warziyon ke notes bheje jo Jeevansathi naam ki aik esi hi app chalati hain jab ke Matrimony.com ke hisse mein ibtedai tor par kami hui, wo 2.2 feesad tak band hogaye.

Google ne aik blog post mein bataya ke in companies ne tawsi'ati muddat ke liye adayegi nahi karne ka intekhab kiya hai.

Previous Post Next Post