Maryam Nawaz ne surgery nahi karai, woh apna khayal rakhti hongi: Afat Omar


Adakara Afat Omar ne Punjab ki Wazir-e-Azam Maryam Nawaz Sharif ko Pakistan ki sab se khoobsurat siyasatdan qarar de diya.

Social media par Afat Omar ka ek interview clip viral horaha hai jis mein unhe Maryam Nawaz ki khoobsurti se mutalliq baat karte dekha gaya.

Dauran interview mehman ne Afat Omar se sawal kiya ke Pakistan mein sab se khoobsurat khatoon siyasatdan kaun hain? Is par Afat Omar ne kaha ke Maryam Nawaz Pakistan ki sab se khoobsurat khatoon siyasatdan hain jisme koi shak nahi hai.

Is ke baad mehman ne Afat Omar se sawal kiya ke Maryam Nawaz ke liye kaha jata hai ke unhone surgery karwai hui hain? Is par adakara ne naarazgi ka izhar karte hue kaha ke surgery wala chehra pata chal jata hai, haan yeh keh sakte hain Maryam Nawaz apna khayal rakhti hongi, achhi creams lagati hongi jo har aurat lagati hai lekin unhone chehre par kuch nahi karwaya.

Adakara ka kehna tha ke Maryam Nawaz janitai tor par pyari khatoon hain, Maryam Nawaz mere sath college mein thin agar woh tab thodi moti thin lekin tab bhi unka chehra itna hi purronaq tha.

Previous Post Next Post