Lahore: Pakistan Tehreek-e-Insaf ki janib se IMF ko likhe gaye khat par ma'ashi mahireen ne rad-e-amal ka izhar kiya hai.
Sabiq Wazir Khazana Muftah Ismail ne kaha ke IMF ko khat likhne se muaahiday par koi asar nahi padega, IMF maashi islahaat ko dekhta hai, na ke androni siyasat ko, PTI ne is se pehle kayi baar IMF ko khat likh chuki lekin natija sifar raha hai.
Dosri janib ma'ashi mahire Mohammad Yasin ne kaha ke PTI ne IMF ko khat likh kar manfi siyasat ka saboot diya hai, IMF ko khat likhne se koi farq nahi padega.
Aib-e-Sadr Lahore Chamber Adnan Butt ka kehna tha ke IMF hukumat aur riyasat se muaahiday karta hai, IMF General Zia aur General Musharraf se bhi muaahiday kar chuka hai is liye IMF ko khat likhna be-sudh hai, is par PTI parliament mein awaz uthaye.
Ma'ashi mahire Munawar Sabir ne kaha ke IMF ka form 45 ya 47 se kya lena dena, IMF board mein America stake holder hai jis par bani PTI ilzaam lagaa chuke hain, IMF se nayi hukumat kaamyaab deal kar le gi.
Wazeh rahe ke guzishta roz PTI ke rehnuma Barrister Gohar ki janib se Aalami Maliyati Idaray (IMF) ko khat bhejne ki tasdeeq ki gayi thi jis mein aane wale bail out package ke waqt Pakistan ke siyasi istehkaam ko mad