PMDc ne aam doctors ko aesthetic medicine ki practice karne se rok diya.

Islamabad: Pakistan Medical and Dental Council (PMDC) ne aam doctors ko aesthetic medicine ki practice karne se rok diya.

Aesthetic medicine mahir chehre, jism ki khoobsurti ke liye surgeries, procedures, aur hair transplant wagaira karte hain.

PMDC ki janib se jari elamiye ke mutabiq aesthetic medicine ki practice aur aesthetic surgeries sirf degree aur diploma holder doctors kar sakte hain.

Elamiye mein bataya gaya hai ke mulk bhar mein MBBS aur BDS degree holder aesthetic medicine ki practice kar rahe hain taham ab aesthetic medicine ke courses aur workshops sirf PMDC se registered mahireen hi kar saken ge.

Elamiye mein mazeed kaha gaya hai ke aesthetic surgeries bhi sirf PMDC se manzoor shuda mahireen hi kar saken ge.

Mazeed Baraan Health Care Commissioners ko aesthetic medicine aur surgeries karane wale hospitals aur clinics ke muayene ki bhi hidayat ki gayi hai.

جدید تر اس سے پرانی