Aarif Alvi par assembly tornay aur ijlaas na bulanay ke do muqadmat hongay: Bilawal


Islamabad: Pakistan Peoples Party ke chairman Bilawal Bhutto Zardari ka kehna hai ke Aarif Alvi par do muqadmat hongay, un par ek muqadma adam-e-itimad ke waqt assembly tornay ka hoga aur doosra muqadma aain ke mutabiq Qaumi Assembly ka ijlaas na bulanay ka hoga.

Supreme Court ke bahar media se guftagu mein Bilawal Bhutto Zardari ne kaha ke Peoples Party ka moqaf hai ke idaray aaini daire mein reh kar kaam karein, siyasatdanon ko faisla karna hoga ke hum apne daire mein reh kar siyasat karein, unhein faisla karna hoga ke ek doosre ki izzat karein, siyasatdan ek doosre ki izzat nahi karein ge to umeed na rakhein ke koi idara kare ga, agar aisa hi raha to agli teen nasalon tak bhi yehi tamasha chalta rahe ga.

Unho ne kaha ke Aarif Alvi par do muqadmat hongay, un par ek muqadma adam-e-itimad ke waqt assembly tornay ka hoga aur doosra muqadma aain ke mutabiq Qaumi Assembly ijlaas na bulanay ka hoga, sadarat Aarif Alvi ke bas ki baat nahi, muwakzay ke bajaye intekhabi amal ke zariye Aarif Alvi ki jagah doosra sadr lain ge.

Bilawal Bhutto ka kehna tha ke shuru to wahan se hongay ke Alvi sahib ne aain tora, Aarif Alvi aain ko torhte hue apna farz nahi nibha rahe, sadr aaini zimmedari poori nahi karte to speaker poori karein ge kyun ke aain mein likha hai har haal mein 29 February ko assembly ijlaas bulana hai.

Chairman PPP ne kaha ke hum ne faisla kiya jo humare paas vote mangne aaye hum ne diya, Sunni Ittehad Council humare paas vote mangne nahi aaye to kisi aur ki hukumat par aitraz kaisa, humare paas yehi option hai jo baat kar rahe hain un ko moqa dein, mein ne kaha tha wazir-e-azam bana to siyasi qaidiyon ko reha karein ge lekin afsos Pakistan ke awaam ne mujhe woh mandate nahi diya.

Sadr muntakhib hokar Asif Zardari apne governor khud final karein ge: Bilawal Bhutto

Bilawal ka kehna tha ke sadr muntakhib hokar Asif Zardari apne governor khud final karein ge, Peoples Party apne bare mein sochti to pata nahi kya kya kardeti, mein hukumat banane ki position mein nahi hoon mere number aise nahi, mein kehta ab (N) league ke saath kaam nahi karta to aamad ka bunyadi masla hal nahi hota.

Unho ne mazeed kaha ke hum Sunni Ittehad ke shukar guzaar hain ke unhone Maryam Nawaz aur Murad Ali Shah ki mukhalfat nahi ki, Sunni Ittehad aur PTI ke shukar hona chahiye Shahbaz Sharif bhi bila muqabla wazir-e-azam banne ja rahe hain.

Chairman PPP ka kehna tha ke apni ghaltiyon se seekh kar agay ka laiha amal tay kiya magar PTI na apni ghalti tasleem karti hai, aain ko manti hai aur na jamhooriyat ko, hum insaan hain, insaan se ghaltiyan hoti hain lekin sab se zyada ghaltiyan us shakhs ne ki hain jo Adiala Jail mein hai.

Previous Post Next Post