14 ghanton se zyada musalsal barish se Gwadar doob gaya, shehri naqal makani par majboor.

Gwadar mein 14 ghanton se zyada musalsal barish ke baaes mamoolat-e-zindagi shadeed mutasir hue hain, nashibi ilaqay zair aab aa gaye hain aur bijli ka nizaam bhi mutasir hua hai.

Gwadar mein barish waqfe waqfe se jaari hai, sarakain zair aab aa gayin aur pani gharoon aur dukaanon mein daakhil ho gaya hai, jis ke baaes shehriyon ko mushkilat ka samna hai, kai makaanat gir gaye, shehri naqal makani par majboor hain.

Nakaas ka moassar nizaam na hone se pani sarakon par jama ho gaya hai, Gwadar ke ilaqon Too Bagh, Sheikh Omar, Saharabi Ward, Malaband Thana Ward, Shamba Smail mein barish ka pani gharoon mein daakhil ho gaya hai.

Jannat Bazaar aur Bilal Masjid Airport Road par barish ka pani dukaanon mein daakhil ho gaya hai.

Chairman Yousaf Sarbandan ke mutabiq tez hawao ke baaes kai kashtiyan aapas mein takra kar toot gayi hain.

Sarbrah Haq Do Tehreek Balochistan ke noo mun'takhib MPA Gwadar Maulana Hidayat-ur-Rehman Baloch ne social media par jaari bayan mein kaha hai ke toofani barish mein pura Gwadar shahr doob gaya hai, corruption aur commission khori ki saza Gwadar ke awaam bhugat rahe hain.

Unhone matalba kiya hai ke Gwadar mein fori tor par emergency nafiz ki jaye.

Senator Kehda Babar kehte hain pura Gwadar shahr dooba hua hai, zila intizamiya apni madad aap ke tehat kaam kar rahi hai, NDMC aur PDMC ko aage ana chahiye.

Un ka kehna tha ke toofani barish ke baaes machhiron ki kashtiyan toot chuki hain, Balochistan hakoomat Gwadar ko aafat zadah qarar de.

Previous Post Next Post