Aain mein kahin nahi likha aewan namukamal ho toh ijlas nahi bulaya ja sakta, hakoomat ka sadar ko jawab.

Nigran hakoomat ne qoumi assembly ke iftatahi ijlas se mutalliq summary par sadar mumlikat Arif Alvi ke i'tirazat ka jawab de dia.

Hakoomati zaraai' ke mutabiq nigran hakoomat ne kaha hai ke aain ke article 91 mein kahin nahi likha agar aewan namukamal ho toh ijlas nahi bulaya ja sakta, sadar ki sawabdeed aur istehqaq hai hi nahi ke article 91 ke tehat ijlas rok saken.

Zaraai' ka kehna hai ke nigran hakoomat ne sadar ko jawab dia ke sadar sirf article 54 ke tehat mamooli ke ijlas ko rok sakte hain, yeh mamool ka nahi ghair-mamooli ijlas aaini talaab hai, kahin bhi nahi likha ke makhsus nishtain na hon toh ijlas nahi hosakta.

Zaraai' ke mutabiq nigran wafaqi hakoomat ki sadar ko faislay par nazar sani ki darkhwast ki aur kaha ke sadr mumlikat aain ke mutabiq qoumi assembly ka ijlas talab karein. Nigran hakoomat zaraai' ne bataya ke aain ke article 91 ki shak 2 ke tehat election ke 21 ve din ijlas bulana zaroori hai, sadar ne 29 February ko ijlas na bulaya toh bhi ijlas usi din hoga.

Khayal rahe ke guzishta dino mein sadar Arif Alvi ne qoumi assembly ijlas bulane ki summary mustarad karke wapas bhej di thi.

Zaraai' ke mutabiq sadar mumlikat Arif Alvi ne moqaf ikhtiyar kiya hai ke pehle khawateen aur aqalaton ki nishtain ko mukammal kiya jaye.

Baad azan speaker qoumi assembly Raja Pervez Ashraf ne qoumi assembly ka ijlas 29 February ko talab kar liya jis mein noo mun'takhib arkaan halaf uthayenge.

Previous Post Next Post