Karachi ki 20 Markazi Shahraon par rickshaw ki aamad par pabandi


Sheher-e-Quaid ki 20 aham shahraon par 1+2 aur 1+4 rickshaw ke dakhle par pabandi aaid kar di gayi hai.

Tafseelat ke mutabiq, sheher-e-Quaid mein rickshaw ki pabandi ka daira barha kar majmoi tor par 26 markazi shahraon tak kar diya gaya hai aur notification bhi jari kar diya gaya hai. DIG Traffic ki sifarish par sheher mein rickshaw ki aamad o raft me mahdoodiyat ka baqaida faisla kiya gaya hai. Shahrah-e-Faisal se II Chundrigar Road tak rickshaw ki mukammal mamniyat foran nafiz-ul-amal ho gayi hai.



Pabandi ki Muddat aur Qanooni Iqdamat

Sheher ki 20 sarkon par rickshaw pabandi 18 October se 17 December 2025 tak moasser rahegi. Traffic ki rawani behtar banane ke liye Commissioner Karachi ne Section 144 ke tehat pabandi nafiz ki hai.

Mazid bar a, khilaf warzi ki surat mein SHO ko Section 188 ke tehat muqadmaat darj karne ki hidayat jari ki gayi hai. Mutaliqa mahkemon aur Deputy Commissioners ko tamam ahkamat par foran aur sakht amal daramad yaqini banane ka hukm diya gaya hai.

Rickshaw Pabandi ki Wajah

Awami shikayaat, traffic jam aur haadsaat ke khatraat ke bawajood sheher ki markazi shahraon par rickshaw pabandi lagai gayi hai.



Izafi Pabandiyan aur Nai Shahraen

Commissioner Karachi ne mazid chay bari shahraon par 1+4 rickshaw ki aamad o raft par mukammal pabandi aaid ki jabke traffic police ki nai sifarishat par rickshaw pabandi ke daira kar mein baqaida toseeh kar di gayi hai. Nai chay shahraon par pabandi pehle se jari notification ke masawi muddat ke liye nafiz rahegi. Izafi sarkon par pabandi awami tahaffuz, traffic management aur shehri sahulat ko mad e nazar rakh kar lagai gayi.

Jin sarkon par pabandi aaid ki gayi un mein University Road, Korangi Road, Orangi Road, Super Highway se Malir Cantt, Mari Road, Shahrah-e-Pakistan se Sohrab Goth samt 20 markazi sarkain shamil hain.

Previous Post Next Post