Bahirah-e-Room: Kashti Mein Sawar 60 Tarken Watan Bhook Pyas Se Halak

Bahirah-e-Room mein tarken watan ke sath afsosnaak waqia pesh aya jahan 60 afraad bhook aur pyas ke baais jaan se chale gaye.

Bartani khbar rasani idaray (BBC) ke mutabiq tarken watan Libya ke saahil se rubber ki kashti mein sawar ho kar Bahirah-e-Room ki janib rawana hue thay jahan ek madadi group ne kashti ke kharab hone ki nishandahi ki aur is doran rescue ahalkaron ne 25 afraad ko bacha liya.

Media reports ke mutabiq kashti ka engine teen din ke baad kharab ho gaya jis ke baais kashti mein sawar afraad khurak aur paani ke baghair reh rahe thay.

Kashti se rescue kiye jane walon ne bataya ke marne walon mein khawateen aur ek bacha bhi tha jo doob kar nahi balkay bhook aur pyas se maray hain.

Imdadi group ke mutabiq Ocean Walking ki team ne budh ko doorbin ke zariye kashti ko dekha aur phir Italian Coast Guards ki madad se imdadi sargarmiyan shuru ki gayin, rescue kiye jane walon ki sehat intehai kharab thi aur woh bohat kamzor thay jin mein se do ki halat tashweeshnak thi.

Media reports ke mutabiq rubber ki kashti mein sawar 60 afraad ke kashti mein hi halak hone ki tasdeeq ki gayi hai.

Previous Post Next Post