Asif Zardari bhaari aksariyat se sadr muntakhib, doosri baar sadr ban'ne wali pehli sooli shakhsiyat ban gaye



Peoples Party Parliamentarians ke Sadar Asif Zardari bhaari iksaariyat se Sadar Pakistan muntakhib hogaye aur woh doosri baar Sadar banne waali pehli shakhsiyat bhi ban gaye.

Mulk ke Awaan-e-Zarien (Qaumi Assembly), Awaan-e-Bala (Senate) aur chaaron subai assemblies mein sadarati intikhaab ke liye voting hui aur arkaan ne subah se 4 baje tak apna haq raaye dehi istemaal kiya.

Sadarati intikhaab mein hukoomati ittehad ki janib se Asif Zardari aur opposition ke Mahmood Khan Achakzai madmuaqabil the.

Parliament mein arkaan Qaumi Assembly aur Senators ne apna vote cast kiya aur har rukn ka aik vote shumar hoga. Hakoomati ittehad ke umeedwar Asif Ali Zardari bhaari iksaariyat se Sadar muntakhib hogaye, unhon ne Parliament se 255 vote liye jabke Sunni Ittehad Council ke Mahmood Khan Achakzai 119 vote hasil kar sake.

Parliament mein dale gaye voton mein se aik vote mustrad hua.

Yun mjmooi tor par Qaumi Assembly, Senate aur chaaron subai assemblies se Asif Zardari 410.777 electoral vote lekar Sadar Pakistan muntakhib hue jabke Mahmood Khan Achakzai ne 180.34 electoral vote hasil kar sake.

Asif Ali Zardari doosri baar Sadar muntakhib hue aur woh Pakistan ke 14vein Sadar honge. Asif Zardari 2008 se 2013 tak sadrati mansab par faaiz rahe chuke hain.

جدید تر اس سے پرانی