Gwadar aur girdo nawah mein barish aur zala barri jaari hai, Nigor mein barishon se kheton ke hifazati band tut gaye hain jis ki wajah se pani Gwadar shehar ki taraf barhne ka khadsha hai.
Nigraan soobaai wazir-e-aala Jaan Achakzai ne bataya hai ke Gwadar ko aafat zadah qarar dene ke hawale se Nigraan wazir-e-aala ne samri dastakhat kar di hai.
Wazeh rahe ke Gwadar mein barishon ke baad kayi ilaqe ab bhi zeer-ab aagaye hain jabke mazeed barish ka silsila bhi jaari hai, musalsal barishon se gharo mein ghutnon ghutnon pani jama ho gaya hai.
Shehron ka shikwa hai ke unhein koi poochne wala nahi, mutasireen ka kehna hai ke bachay, khawateen aur buzurg bhookay, pyasay hain, 3 din se koi so nahi saka.
Is ke ilawa civil Hospital ke samne pani jama hone se mareezon ko pareshani ka samna hai, mutasireen mein Pak Fauj ki imdadi karwaiyan aur rashan ki taqseem jaari hai. Dosri janib Nokundi ke daldali ilaqe mein phansi gaadiyan nikalne ke liye Levies afseer pohanch gaye, mutasireen mein khoraak, pani aur kambal taqseem kiya.
Quetta mein bhi barish se sarakain zeer ab aagaien jabke Mastung, Kalat, Chagai, Chaman, Qila Abdullah aur Pishin samet Balochistan ke digar ilaqon mein bhi barish se nadi nalon mein tagyani aagai.
Wazeh rahe ke Gwadar mein guzishta do roz ke doran 183 milli meter barish record ki gayi jabke mazeed barish ki peshgoi bhi ki gayi hai.