Laahore Waqia! Kharabi Ki Jur

Laahore mein aik khatoon ki harassment ka qabil afsos waqia

Laahore mein aik khatoon ki harassment ka qabil afsos waqia ro numaya hua. Us ke libaas par Arabi zabaan ka koi lafz likha tha jisey baghair sochey samjhey foran Islam se jor diya gaya, hujoom ikatha ho gaya jisme mojood kuch log khatoon ki jaan lenay ke dar par ho gaye aur ilzaam laga diya ke woh gustakhi ki murtakib hui hai.

Khatoon ko aik dukaan ke andar panah de kar police ko bulaya gaya jis ne hujoom mein se badi mushkil se khatoon ko wahan se rescue kiya. Thaana puhnchey to wahan ki aik video samney aayi jisme khatoon police ki mojoodgi mein maafi maang rahi thi. Baad mein yeh baat samney aayi ke khatoon ke libaas par jo likha tha woh Arabi zabaan ka aam lafz tha jiska Islam se door door ka bhi talluq nahi tha.

Goya aik shakhs ne khatoon ke libaas par likhe lafz ko Islam se jor kar gustakhana amal qarar de kar logon ko ishtiaal dilaya aur hujoom ne bhi baghair parhay, baghair samjhay, baghair kisi tehqeeq ke aik khatoon ki zindagi ko shadeed khatra mein daal diya. Agar police aur khatoon A.S.P wahan mojood na hote to na jaane kitna bara saaniha ho chuka hota jiska bunyad aik jhoot ke ilawa kuch nahi thi. Taajub iss baat par hai ke thaana mein khatoon ko aik jhoot ki bunyad par kyun maafi mangni pari.

Nahi maloom ke is mamle par police kya tehqeeqat kar rahi hai aur kya zimmedaroon ke khilaf koi action hoga ya nahi lekin sab se ahem masla jis par ghor karne aur us ko durust karne ki zaroorat hai woh yeh hai ke aise waqeat kyun baar baar yahan janam lete hain. Umooman aise waqeat ko "mazhab ke istemaal" se jor kar saara mulba kisi aik tabqay par dala jata hai. Halankeh na Islam yeh sikhaata hai na hi Musalman ka aisa rawiya hona chahiye.

Asal kharabi par tawajjuh nahi di jaati aur woh kharabi riasat ki satah par hai. Jab riasat Islam, Islami taleemat aur awaam ko Islam parhane ki zimmedari se mukammal pehlu teh karay gi to is ka kya natija nikle ga? Aik tabqa ki taraf se yeh kaha jaata hai ke riasat ko secular hona chahiye aur mazhab ka mamla har fard par chhod dena chahiye. Hamara Aaeen kehta hai ke Pakistan mein rehne wale Musalmanon ko nah sirf Islam ki taleem di jaaye balkay un ko mukammal Islami mahol bhi faraham kiya jaaye, jahan woh Islami taleemat ke mutabiq apni zindagiyan guzar saken.

Aaeen ki in shakon par amal daramad nahi kiya jaata. Amli tor par hamari riasat ne Islam ko parhane aur Islam ko sikhane ka kaam outsource kar diya hai jiski wajah se yahan Islam ke naam par aisa bohat kuch kiya jata hai jiska Islam se koi talluq nahi. Islam insani zindagi ki izzat par bohat zor deta hai lekin hamarey mashra mein insani zindagi ki koi ahmiyat nahi hai. Islam khawateen, bachon, aqalmandon, muashrey ke har fard ke haqooq ke bare mein taleemata deta hai kya hamara mashra us ki aksariyat karta hai? Adl o insaf ke jo asool hamara deen muqarrar karta hai kya hamara us se door door ka bhi wasta hai?

Laahore jese waqeat ki bina par mazhab ko nishana banane ki bajaye asal kharabi aur us ki jad ko pakrain.

Aaeen Pakistan ki rooh ke mutabiq riasat apni zimmedari poori kare, afrad ko Islam parhaaye, Islami taleemat aur Islami mahol ki farahmi ko yaqeeni banaye, muashrey ke har fard ko insani jaan o maal ki izzat ke bare mein bataye aur amal karne ki taleem de, unhein khawateen, bachon, aqalmandon, maan baap, miyan biwi ke mutaliq haqooq o faraiz par amal karne ki talqeen kare, jhoot, intishaar, ishtiaal angaizi, fitna sazi jese mamlaat ki rok tham ke liye taleem o tarbiyat ke sath sath jaza o saza ka nizaam lagoo kare. Riasat agar apni is bunyadi zimmedari se pehlu teh krti rahay gi to hamare haan kharabiyan barhti rahin gi.
Previous Post Next Post