Koi kuch bhi keh le, intikhabat ke baad bhi hamah pehlu adam istehkam aur siyasi intishar ki bunyadi wajah hamari qoumi siyasat mein ek aise atish mizaj kirdar ki namood hai jo apni aadat, khaslat, jublat aur sarsat ke aitbar se siyasi taqazon aur qarinon se door ka talluq wasta bhi nahin rakhta.
Nargisit (NARCISSISM) ek mozi marz hai jo Aakas bell ki tarah insan ki har shakh-e-fikr-o-hiss ko chos leta hai. Imran Khan hamari sattar saalih qoumi tareekh ka waheed kirdar hain jo mulki mafadat se qata-e-nazar, apni zat ke madar mein gardish hi ko ma'araj-e-siyasat samajhte hain. Unthais saalih siyasi safar ke doran unki atish bayani, baroodpashi, tasadum wa pikaar, hungama wa fasaad aur intishar wa khalafshar ke la-tadad muzahire milenge lekin khurdbeeni aankh se bhi unki narm guftari, kushada qalbi, aali zarfi, tahammul wa bardasht, rawadari aur ifham wa tafhim ki koi adna si nazeer bhi nahin milegi.
Islami taleemat se inhiraf aur gunahon ke bawajood kisi kalma-goo se 'Musliman' honay ka sharf nahin cheena ja sakta na is ke 'jazba-e-Islami' ki nafi ki ja sakti hai. Isi tarah IMF ke qarz ko Pakistan ke intikhabi amal ki jaanch-patalk se mashroot karane ki koshish se Imran Khan ki 'hubbul watani' ya Pakistaniyat par koi harf nahin ata.
Lekin yeh sawal apni jagah mojood hai ke kya waqai unhone unthais saalih siyasi zindagi mein hubbul watani ke taqazon ko apni siyasat aur zat se balatar rakha hai? Siyasi lughat mein namatulub mukroohat ki pyond kari, aam jalsoun mein harifon par barish-e-ilzam wa dushnam, ma'tabar qoumi rahnumaon ko be-dhangay alqaabat se nawazna, naujawan pod ki raghon mein barood bharna, siyasi mukhalifeen ko chun chun kar nishana banana aur kusht-e-siyasat mein nafrat wa adawat ke beej bona woh iqdamat hain jo un ko sardast ek taraf rakh dete hain lekin kya waqai IMF ke hazoor taza arzain guzarne se qabal Khan sahib ne kabhi is noo ka koi qadam nahin uthaya? Kya tahreek-e-adam aitemad ki chhap sun kar unhone jan boojh kar IMF se tay shurait ko pamal karke ane wali hakoomat ke liye shadeed mushkilat paida nahin kardi thin? Agast 2022 mein Khan sahib hi ki hidayat par Senator Shaukat Tarin ne Khyber Pakhtunkhwa aur Punjab ke wazarae aali se kaha tha ke woh IMF ko khat likh kar apni taraf se bariat ka izhar kar den taake mawqai program ka raasta roka ja sake.
Khan sahab hi ke hukum par Fawad Chaudhry ne do tok bayan diya tha ke agar IMF ne Pakistan ko qarz diya to Khyber Pakhtunkhwa aur Punjab zimmedari nahin lenge. Mahaz apni siyasat ke liye qoumi salamti se mutalliq ek hasees khufiya dastaweez se khelna qoumi mufaad ke kis gooshe mein sajaaya jaaye? 2014 ke chaar mahi dharnay ke doran unhone jaan boojh kar sirf is liye Cheeni Sadar ke dora-e-Pakistan ko sabotage kiya ke bhari Cheeni sarmaya kari se Nawaz government ko taqwiyat nah mile. Unhi dharnon mein awam ko tax nah dene aur sool nafermani ki talqeen ki gayi. Bahir mulk Pakistaniyon se kaha gaya ke woh hundi ke zariye raqam bhejein taake Pakistan zar-e-mubadala ke qehat ka shikar hojaye. Un ke wazira ke be-dhangay bayanat ne CPEC project ko shadeed nuqsaan pohnchaya aur pilots ke bare mein ek ahmakana bayan ke sabab PAI ko arabon dollar ka nuqsaan hua. Yeh 'sadma-e-jariya' jane kab tak chale ga?
Haliya intikhabat ne un ke samne, tund khoyi aur talwarzani ke bajaye hikmat o danish aur maslehat ki shrayz paai kai rahein khol di thin. Un ke chahne walon ne unhen mala-maal kar diya tha. Afsos ke yeh tosha khana bhi unhone koodiyon ke maul lutadia. Nateejay ki barkha baras rahi thi ke Peoples Party aur Muslim League (N) se hath na milane ka ilaan kar ke apne arkaan ki bhari bhar kam tadad ko be wazan kar diya. Is ilaan se un ke dono barey hareef ek doosre ke qareeb hogaye. Yaka yak siyasi tanhai ka ehsas hua to Jamaat-e-Ulema-e-Islam, Jamaat-e-Islami, Wahdatul Muslimeen ghurz har us kooche raqeeb mein sar ke bil pohanchay jahan se apni be chehargi ko koi naam paane ki zara si umeed hui. Bala akhir Assi ke lag bhag arkaan ka darya, yak rukni Sunni Ittehad Council ki joey kam aab mein zam ho kar madum ho gaya.
Udhar dhundli ke ilzamat ka koh-e-Himaliya khara kardiya gaya hai. 2013 ke 35 puncture ab farm 45 mein dhal chuke hain. Pindi commissioner ko gyarah baras qabal ka Afzal Khan banane ki nakam koshish ki gayi. Tab ballot paper kisi Urdu bazaar mein chip rahe the ab yeh kaam Laxmi chowk ke kisi chhapah khane mein horaha hai. Jhoot ka toomar hai aur ilzamat ka anbaar. Koi haqeeqat ki karid par aamada nahin. Intikhabat se ek mah qabal muatbar idaray 'Gallup Pakistan' ka ek survey tamam akhbarat mein shaaya hua tha. Is survey ke mutabiq Punjab mein PTI ki maqbooli ki sharah 34 feesad thi. 8 February ko use 35 feesad vote mile. Muslim League (N) ki sharah 32 feesad thi. Use 34 feesad vote mile. Peoples Party ke bare mein 6 feesad ki pesh bini ki gayi thi. Use 6 feesad vote hi mile.
Khyber Pakhtunkhwa ke hawale se survey mein bataya gaya tha ke PTI ko 45% vote mil sakte hain. Usay 44% mile. Muslim League (N) ke bare mein kaha gaya tha ke woh 9% le paye hain. Usay 9% hi mile. Jamaat-e-Ulema-e-Islam ke bare mein 15% ki peshi guftugi ki gayi thi. Usay 15% hi mile. In thos haqaiq ke bawajood hahakaar hai ke thamne mein nahi aa rahi. Dawa yeh hai ke hamare 80 halqay cheen liye gaye hain. Lekin Election Commission mein Qaumi Assembly ke sirf bees halqay challenge kiye gaye hain jin mein se das ka talluq Khyber Pakhtunkhwa se hai. Punjab ke sirf saat halqon par ihteraz uthaya gaya hai.
Masla yeh hai ke pathar ko jonk nahi lagayi ja sakti. Jo shakhs army chief ki taqarri ko galiyon, chaurahon ka mawad bana sakta hai, uska rasta roknay ke liye Islamabad par yalghar kar sakta, uska takhta ultnay ke liye fauj mein dararain daalnay ki sazish kar sakta, mazmoom siyasi maqasid ke liye difaai tanzeemat ko nishana bana sakta, aur shuhada ki muqaddas yadgaron ko taraaj kar sakta hai, woh kuch bhi kar sakta hai. Jo Labang firms kharid kar unhein Pakistan ke chehre par kalak thopnay ke liye karodon dollar luta sakta hai aur jo Pakistan ko insani huqooq ki qatl-gah bawar karane ke liye dunia bhar mein, Bharati sifarat karon ke pehlu beh pehlu mutaharrik ho sakta hai us se qoumi siyasi kirdar banne ki tawqeer rigzaron mein lalaa-w-gul khilane ki sa'ee ra'igan ke siwa kuch nahi hai.