Yeh manzar July 2018 ka hai. Pakistan ke sabiq Wazeer-e-Azam Nawaz Sharif aur unki sahibzadi Maryam Nawaz London se Pakistan ke liye rawana hue hain. Pakistan mein aik ehtesab adalat ne Avenfield corruption case mein unko 10 baras aur saat baras ki qaid sunayi hai.
Nawaz Sharif ki ahlia Kulsoom Nawaz London hi mein hospital ke bistar par cancer se jung lar rahi hain. Idhar Pakistan mein aam intikhabat ka waqt hai. Islamabad aur subo mein nagran hakoomtain qaim hain. Imran Khan aur unki Jamaat Pakistan Tehreek-e-Insaf intikhabat ki tayari kar rahe hain.
Nawaz Sharif ki Jamaat Pakistan Muslim League-N keh rahi hai ke 'un ki Jamaat ke logon se zabardasti wafadariyan tabdeel karwai ja rahi hain. Un ke karkunon ko jailon mein dala ja raha hai.' Mulk mein Noon League aur us ki siyasat ke hawale se kayi sawal gardish kar rahe hain.
Kya Nawaz Sharif wapas Pakistan aayenge? Agar woh nahi aate to unki Jamaat ka siyasi mustaqbil kya hoga? Aur agar woh aate hain to unke saath kya hoga? Kya unki wapsi Pakistan mein kuch badle gi?"
Pehla manzar
Pehle sawal ka jawab jald mil jata hai. July 13 ko Nawaz Sharif aur Maryam London se Pakistan wapsi ke liye tayyare par sawar ho jate hain. Pakistan se kayi sahafi aur siyasatdan tayyare par unke sath hain. Raste mein tayyara Mutahida Arab Emirates mein chand ghanton ke liye rukta hai.
Idhar Lahore mein Shahbaz Sharif apni Jamaat ke hzaroon karkanan ke qafilay ki qayadat karte, Nawaz aur Maryam ko lene Lahore Airport ki taraf barh rahe hain. Unke karkunan nare baazi kar rahe hain... 'Rok sako to rok lo' aur 'Vote ko izzat do.'
Airport ki taraf jane wale tamam raste rukawatein laga kar band kar diye gaye hain. Airport ke atraf sakht security ka hisaar qaim hai.
Flight mein takheer ke bais Nawaz Sharif Abu Dhabi Airport hi par telephone ke zariye doosre lounge mein maujood media ke numaindon se baat karte hain. Woh kehte hain 'Mujhe giriftari ka darr nahin. Agar hota to mein wapas hi kyun aata.' 'Mere liye yeh koi ma'na nahin rakhta ke NAB ya jin logon ne NAB ke ahalkaron ko bheja hai, woh mujhe yahan Abu Dhabi se giriftar karte hain ya Lahore se. Mein is ke liye tayyar hoon.'
Nawaz Sharif yeh bhi kehte hain 'Hum wapas aa rahe hain kyun ke is mulk ki taqdeer ko badalna hoga... Hum is ki taqdeer ko badlenge.'
Raat gaye unka tayyara Lahore ke Hawaai Adday par utarta hai. Tayyare hi mein se Nawaz Sharif aur Maryam Nawaz ko giriftar kar liya jata hai. Wahin se unhein khaas tayyara ke zariye Islamabad rawana kar diya jata hai. Shahbaz Sharif aur unke hzaroon saathi is waqt tak Airport ke raste hi mein thay.