Pakistan ko Dosre Mumalik se Talluqaat par Asar Andaz Hone ka Haq Nahi: Afghan Taliban Wazir-e-Kharja


Afghanistan mein Taliban hukumat ke Wazir-e-Kharja, Ameer Khan Muttaqi, ne Pakistan par mukalmaat mein rukawat dalne ka ilzaam lagate hue kaha hai ke “Pakistan ko yeh haq nahi ke wo Taliban ko yeh hidayaat de ke wo doosre mumalik ke saath apne talluqaat kaise rakhein.”

Muttaqi ne Kabul mein apne bayan mein kaha ke “Pakistan mein faislay karne aur hukum jari karne ka ikhtiyar kisi aik fard ya intizamiya ke paas nahi hai. Wahan faisla saazi ka koi ek markaz nahi, yani Pakistan mein hukmaran kaun hai aur faisla kaun karta hai yeh wazeh nahi.”

Unka kehna tha ke Afghanistan ne Pakistan ke saath rawadari ka muzahira kiya hai lekin Pakistan ne bar bar Afghanistan ki ilaqai salamat ki khilaf warzi ki, tijarati raste band kiye aur Afghan panah guzino ko kisi na kisi bahane se harass kiya.

Unhone kaha ke “Pakistan ne kabhi hum par ilzaam lagaya ke hum Pakistani Taliban hain aur jab hum is maamle par thoda aage badhe to unhone kaha yeh Baloch Tehreek hai aur jab hum is se bhi aage gaye to unhone kaha is mein India mulawis hai.”

Ameer Khan Muttaqi ka kehna tha ke “Afghanistan ke India ke siyasi aur iqtisadi talluqaat hain, hamari siyasat azaad aur khudmukhtar hai. Humein sab ke saath talluqaat rakhne ka haq hai.”

Previous Post Next Post