Apne dor-e-iqtedaar mein Imran Khan Amriki sadar jo Biden ke phone ka intezar hi karte rahe lekin White House se unhein koi call nah aayi. Jab apni hukumat ka khatma hua to phir Amriki sazish ki kahani ghari "Regime Change" aur "Hum Koi Ghulam Hain" ka bayania banaya jo awaam mein to khoob maqbool hua lekin jo kuch Khan Sahab hasil karna chahte the woh na hasil hua.
Apni hi fauji qayadat par sangin ilzamat lagane shuru kar diye aur yeh silsila itna agay barhaya ke 9 May ho gaya. Jis inqilab ki khwahish ki woh na a sake, haqeeqi azadi ka khwab adhura reh gaya aur phir Khan Sahab ne America se taluqat sanwarne ki koshishain shuru kardi. Kaha ke saazish America ne nahin balkay us waqt ke army chief General Bajwa ne ki thi aur America mein Hussain Haqqani ke saath mil kar unki hukumat khatam ki.
America se apne taluqat behtar banane ke liye wahan lakhon dollars kharch kar ke lobbyists se madad li, American Congress ke araakin se rabita kiya, unhein khat likhe, un se Biden administration ko apne haq mein bolne ke liye dabao dala, wahan muzahire karwaye, Pakistan ki fauji imdadi rukwane ki bhi koshishain ki gayi, haliya intikhabat ke baad American madakhilat ko bhi dawat di gayi, fauji qayadat ke khilaaf wahan muzahire bhi kiye gaye, IMF ke program ko sabotage karne ki bhi koshishain jari rahi hain. Yani jo kuch mumkin tha kiya, Pakistan ke liye acha tha ya bura, us ka bhi khayal nah raka. Lekin Imran Khan jo chahte the woh kuch hasil nah hua.
IMF ka program bhi final ho gaya balkay mojooda program ke mukammal hote hi Pakistan ke saath agle teen saal ka program karne ka khud IMF ne Pakistan ko andiya de diya. Intikhabat ke hawale se jo madad America ya Europe se Imran Khan aur Tehreek-e-Insaf ko darkar thi woh bhi nah mili, balkay ulta American sadar jo Imran Khan ko un ke iqtedar ke doran phone call ka intezar hi karwate rahe, unhone chand din qabal mojooda wazir-e-azam Shehbaz Sharif ko khat likha jis mein nek tamannao ke izhar ke sath mukhtalif shobon mein mil kar kaam karne ka irada bhi zahir kiya. Khat mein nah kahin Imran Khan ka zikr tha, nah intikhabat mein mubin dhandli ka.
Imran Khan ne awami maqbuliyat ke husool ke liye shayad woh woh kuch kiya ke un ki sangeedgi aur un par aitbar karne par sawal uthe gaye. Jo kisi ne kaha, jo suna wahi ilzamat apni siyasat ke liye dharate rahe baghair yeh soche samjhe ke un ki aisi baaton se woh khud apna nuqsaan kar rahe hain. Awami maqbuliyat zaroor un ko hasil hui lekin unhone iqtedar se apne aap ko bohot door kar diya. Phir America se jo woh chahte the unhein nah mila, fauji se taluqat unhone itne bigaar liye ke ab kaise sudhren ge kisi ko koi khabar nahin, apni mukhalif siyasi jamatun aur siyasi rehnumaon ko bure namon se pukarte rahe, un se kabhi haath milana gawara nah kiya aur ab halat yeh hai ke Imran Khan aur Tehreek-e-Insaf akele khade nazar a rahe hain. Jo siyasat chal chali woh ulati pari.
Apni hukumat ke khatme ke baad Qaumi Assembly se isteefa diye baad mein pachtaaye, Punjab aur Khyber Pakhtunkhwa mein apni hukumaton ko khatam kiya us par bhi pachtaaye. Fauj se direct laraai le li aur phir bhi is guman mein rahe ke election jeet ke hukumat bana lenge. Ab kehte hain ke Shehbaz Sharif ki hukumat char paanch mah baad khatam ho jaye gi aur woh chhe mah tak jail se bahar honge. Imran Khan ne pehle bohot siyasi ghaltiyan ki jis ka Tehreek-e-Insaf ki maqbuliyat ke bawajood sare ka sare nuqsaan Khan aur Tehreek-e-Insaf ko khud hua. Ab phir woh ghalti kar rahe hain.
Woh Shehbaz hukumat ko kamzor aur char paanch mah ki mehman dekh rahe hain jabke Imran Khan ko yeh maloom hona chahiye ke Shehbaz hukumat ki mazbooti ki sab se bari zamin khud Imran Khan aur un ki takrao wali policies hain. Pakistan mein sulaah hukumat ke istehkaam ke liye establishment ki himayat bohot ahmiyat ki hamil hoti hai jis ka ehsaas aur tajurba Khan Sahab ko bhi hai. Shehbaz Sharif hukumat ke mamlay mein nah sirf fauj ki hukumat ko mukammal himayat haasil hai balkay dono mil kar Pakistan ko maashi mushkilat se nikalne ka azam rakhte hain. Imran Khan establishment ke bhi khilaf hain aur Shehbaz hukumat ka bhi khatma dekhna chahte hain lekin apne tareeq-e-siyasat ko badalne ke liye tayyar nahin.