Quomi assembly ke ijlaas mein no mintaqib arakin ne halaf utha liya.
Sabiq speaker quomi assembly Raja Parvez Ashraf ki zair sadarat honay wala ijlaas subah 10 bajay shuru hona tha, taham ijlaas muqarrar waqt ke ek ghante baad shuru hua, ijlaas ka baqaida aghaz tilawat e Kalam-e-Pak se hua aur phir naat Rasool-e-Maqbool (ﷺ) pesh ki gayi.
Speaker quomi assembly Raja Parvez Ashraf ne no mintaqib arakin se halaf liya, halaf lene walon mein sabiq sadar Asif Ali Zardari, sabiq wazir-e-azam Nawaz Sharif, chairman Peoples Party Bilawal Bhutto Zardari, sadar Muslim League N Shehbaz Sharif, sarbrah JUI Maulana Fazlur Rehman, Khurshid Shah, Sardar Ayaz Sadiq aur digar no mintaqib arakin shamil hain.
Sunni Ittehad Council ke Umar Ayub, Barrister Gohar, Ali Muhammad Khan ne bhi halaf utha liya, istehkaam Pakistan Party ke Aleem Khan ko dastakhz karne bulaya gaya to Sunni Ittehad Council ke arkan ne luta luta ke naare lagaye.
Is ke ilawa Mahmood Khan Achakzai aur Sardar Akhtar Mengal bhi halaf uthane walon mein shamil hain. Tqreeb halaf bardari ke baad arakin hazri register par apne dastakhat kar rahe hain.
Tqreeb halaf bardari ke baad doosra marhala assembly ke naye speaker aur deputy speaker ka chunao hoga aur phir speaker aur deputy speaker ke intikhab ke baad wazir-e-azam ka intikhab hoga.
Mojooda quomi assembly 336 arkan par mushtamil hai jis mein se 266 nishton par arkan barah e raast intikhabaat ke zariye muntaqib hote hain jabke baqi arkan makhsoos nishton par aivan ka hissa bante hain.
Wazir-e-azam ke intikhab ke liye kaghazat namazdgi 3 March ko jama honge, 4 March ko quomi assembly naye wazir-e-azam ka intikhab karegi aur 4 March ko hi wazir-e-azam ka apne ohde ke halaf lene ka imkan hai.
Shehbaz Sharif ko doosri bar wazir-e-azam banne ke liye 169 vote darkar hain jabke is waqt Muslim League N aur ittehadiyon ko 200 se zaid arkan ki himayat hasil hai.