Mainis 2' ho he gaya

Wajohaat mukhtalif he sahi magar 8 February ke intikhabat aur natayej ka jaiza lein to pata chalta hai ke do ahem siyasi rehnumaon ko 'system' se bahar kar diya gaya hai. Sabiq wuzra-e-aazam Nawaz Sharif aur Imran Khan, dono ki jamaaton jeet ki daawedar hain magar jin ke darmiyan asal muqabla tha is ahem tareen mansab ke liye, woh dono hi bahar hain, ek Adiala jail se ladai lad raha hai aur doosra beti aur bhai ke liye dua-gar hai. Chothi bar wazir-e-aazam na ban sake to kya hua. Lagta hai khail khasi bareeki se khela gaya hai. Kamiyabi beharhal bazahir Shehbaz Sharif aur sabiq saddar Asif Ali Zardari ke haath aayi hai bas zara saddar Arif Alvi jane se pehle 'kuch sharaartain' kar rahe hain. 'Mainis 2' par baharkif amaldaramad ho he gaya hai.

Waise bhi hamare mulk mein do hi markaz hain jahan dhandli hoti hai. 'Imtihani markaz' aur 'intikhabi markaz' dono mein kai qadron mein mushtarak hai, maslan school ya college centers hote hain dono ki nigrani teachers hi karte hain. Dono jagah parcha shuru hone se pehle hi out hojata hai aur phir shor sharaba ya ihtijaj ki surat mein kabhi grace marks de kar pass ya muntakhib karwa diya jata hai warna parcha ya natija mainis, bas farq hai to itna ke intikhabat par zyada shor hota hai to khatra hota hai ke kahin jamhooriat ka mazmoon nisab se hi bahar na kar diya jaye. 1977 yaad hai na aap sab ko 11 saal intezar karna pada jamhooriat ko dobara nisab mein shamil karne ke liye. Is waqt bhi hamare ek dost Jamaat-e-Islami Karachi ke ameer Hafiz Naeem, inter ke imtehanat aur 8 February ke intikhabi natayej, dono mein, dhandli ke khilaf tehreek chala rahe hain aur natayej mansookh karne ka mutalba kar rahe hain.

Beharhal is hafta imkan ishi baat ka zahir kiya ja raha hai 'grace marks' wali jamhooriat ka safar shuru hojayega. Sindh mein Masha Allah Syed Murad Ali Shah ek bar phir wazir-e-aala ke mansab par faaiz hue to election ke baad hone wali tamam afwahein dam tod gayi ke wazir-e-aala Faryal Talpur hongi ya Nasir Shah. Itni sari Jamaaton ka jo opposition mein hain ihtijaj bhi wajibi sa raha, lagta hai yahan har Jamaat hi retire hogayi hai, 'dekhne hum bhi gaye par tamasha na hua'. Albata Sindh Assembly ka ijlas container ke zair-e-saya hua.

Waise bhi is mulk mein jamhooriat hybrid shakal mein hi wapas aayi hai, albata jo parcha set kiya gaya tha usko Pakistan Tehreek-e-Insaf ke voters ne up set kar diya, jis wajah se aur kuch hua hai ya nahi magar Imran Khan ke hamayun ne apne leader ke intikhabi amal se bahar hone ki surat mein kamal maharat se miyan sahab ko bhi is race se bahar kar diya magar Muslim League N ke Javaid Latif ko is baat mein dam lagta hai ke koi bareeki khel hua hai, jis par ek taraf PTI ka voter bhi khush hai ke usne tamam tar mushkil halat mein bhi apni party ko kamiyabi dilayi aur Muslim League N walay Shahbaz aur Maryam ki jeet ka jashn mana rahe hain halankeh sara khail to miyan sahab ko wazir-e-aazam banane ka tha warna to intikhabat November mein hi hojate, kam az kam yeh bharam rehta ke waqt par aur Ayeen ke ain mutabiq election hue.

Ab ek naye aur kathin safar ka aghaz hai. Jis mulk mein aaj ke sab se moaser media yani 'digital media' par ghair-eilaniya pabandi ho, kayi crore afraad ko izhar raaye se rok diya gaya ho, wahan kaisi parliament, kaisi assemblies aur kahan ki jamhooriat.

Aakhir 8 February ko aisa kya hua ke Maine's 2 hogaya. Sach poochein to mujhe is natije ka 9 May ko hi andaza hogaya tha aur shayad khud Imran ko bhi, magar khel to asal mein baray Miyan Sahab ke saath hua hai, jis par shayad ab Miyan Nawaz Sharif bojh bol bhi na sakein kyun ke is se bhai aur beti ka siyasi mustaqbil khatrey mein par sakta hai. Isi liye unhein Asif Zardari ko bhi qabool karna pada aur MQM ko bhi. Waise hamare Karachi walay bhaiyon ko dekh kar bhi afsos hota hai ke kis party ko kahan le aaye hain.

8 February ka parcha to seat tha, natija bhi bohot se logon ko bishamil kuch TV anchors ke pata tha, kai ka khayal tha ke Tehreek-e-Insaf shayad boycott kar jaye. Intikhabi nishan na milne par magar subah 8 se sham 5 baje tak natija voters ka tha aur baad mein selected koi aur hi hogaya.

Sabiq Wazir-e-Azam Imran Khan ke Maine's hone ki kahani October 2022 se shuru hogayi thi, jab unhone ISI ke sarbrah General Faiz Hameed ki file rok li aur Army Chief General Bajwa ki sarfarish par amaldaramad ko Afghanistan ki surat hal se jor kar yeh keh diya ke woh chahte hain ke General Faiz kam az kam December 2022 tak DG ISI rahen, uske baad jo kuch hua woh General Bajwa aur General Faiz tanaza ka shakhsana hai jis ka bherhal natija Imran Khan ke khilaf Adam-e-Itmadi ki tehreek ki kamiyabi thi, albatta is chakkar ka do logon ko sab se zyada nuqsaan hua, Sheikh Rashid Ahmad 'Gate Number 4 wale' aur Chaudhry Parvez Elahi, Kaptaan bhi ghussa mein kuch zyada hi agaya. Chala gaya aur do bari ghaltiyan kargaya, Qaumi Assembly se isteefa aur Punjab aur KPK Assemblyon ko tahlil karna. Siyasi tor par mein aaj bhi aur is waqt se yeh keh raha hoon aur likh raha hoon ke Adam-e-Itmadi ki tehreek siyasi ghalti thi. Ab Miyan Sahab meri jakar thande mosam mein ghor karen ke woh Imran ko bithane, na-ahal karwane aur saza dilwane mein to kamiyab huye magar khud un ke saath kya hua hai. Hamare mulk mein siyasat se Maine's karne ki kahani nayi nahi hai. Bas farq hai to itna ke jis ko farigh kiya gaya hai, uski jamat ke log bherhal assemblyon tak pohanch gaye hain aur unke himayati Sadar Arif Alvi (B) 58-2 ke baghair bhi jis had tak apni party ke liye kar sakte hain karenge, kyunke bherhal unhone aivan Sadar ke baad bani gala aur adiyala ka hi chakkar lagana hai. Hum ek 'band gali' ki janib barh rahe hain. Waise Grease marks de kar jis tarah hum is nizam ko aage barha rahe hain us se ek retired nizam ya yun kahun ke hybrid plus to aage barh raha hai siyasi jamati apni space khatam karti jarahi hai aur yun mulk mein jamhuriyat kamzor se kamzor tak hoti jarahi hai. Kisi ko na-ahal karke system se bahar kiya jata hai to koi aahal hokar bhi kam az kam wazir-e-azam ki race se bahar ho jata hai. Jahil ko agar jail ka inaam diya jaye

Is hadsa waqt ko kya naam diya jaye

Mahkhana ki toheen hai rondon ki hatak hai

Kam zarf ke haathon mein agar jaam diya jaye

جدید تر اس سے پرانی