190 million pounds case: Imran Khan aur Bushra Bibi par fard jurm aaid

 

Rawalpindi: Accountability court ne 190 million pounds case mein Imran Khan aur Bushra Bibi par fard jurm kar diya.

Accountability court ke judge Naseer Javaid ne Adiala Jail mein 190 million pounds case ki samat ki jis silsile mein Bushra Bibi ko Beni Gala se Adiala Jail manqool kiya gaya.

Is silsile mein PTI ki taraf se Barrister Salman Safdar, Umair Niazi aur digar wukla adalat mein pesh hue jabke NAB ke deputy prosecutor Sardar Mazhar Abbasi ne daleel di.

Samat ke mauqe par Imran Khan aur Bushra Bibi kamra adalat mein maujood the, adalat ne dono mulziman ki maujoodgi mein fard jurm parh kar sunai taham mulziman ne jurm se inkaar kar diya.

Judge ne Imran Khan se sawal kiya ke aap par frame charge kiya ja raha hai aap batayein aap guilty hain ya nahi, is par Imran Khan ne kaha ke maine charge sheet parh kar kiya karna hai, mujhe maloom hai is mein kya likha hai.

Dauran samat mein PTI ke bani ne kaha ke hum is case mein takhir nahi chahte, 8 February se pehle NAB ko jaldi thi, ab hum chahte hain saza jaldi ho.

 Judge ne istifsar kiya ke Khan Sahab, aap pehle batayein aap ke danton ka check up hua ke nahi, is par Imran Khan ne kaha ke abhi tak danton ka check up nahi hua jail intizamia ne kaha tha itwar ko doctor aaye ga, ab jail intizamia keh rahi hai agle itwar ko doctor aaye ga.

Adalat ne case ki anindha samat 6 March tak milti hue case ke 58 gawahon mein se 5 gawahon ko shahadatein record karwane ke liye talab kar liya.

Alawah izen adalat ne Imran Khan ke tabee muaina, danton ke check up ke liye general physician aur dentist ki farahmi ki darkhwast manzoor kar liya.

Previous Post Next Post