Iske aane ke baad?


Koi maane ya na maane is ke aane ke baad siyasi manzar nama badal chuka hai, mustaqbil ki siyasi scheme wazih hochuki hai, saaf nazar aa raha hai ke isay iqtidar dene ki tayyariyan ki ja rahi hain.

Is ke Pakistan mein utarte hi nigran hukumatoun ka sahr tuta shuru hogaya hai. Naukar Shahi ya iqtidar pasandoun ke dosre group, sab is ke gird jama ho jayenge, nayi siyasi saf bandiyan hongi aur naye tanay banay bunay jayenge.

Kaha gaya hai ke intiqam nahi liya jayega, yeh khush aainan ilaan hai lekin is ki amli shakl kya hogi? Kya khilari aur is ki party ko bhi khula maidan milega ya phir isay jail mein hi koi raayat milegi?"
Bazahir 9 May ke zimmedaron aur khiladi ke numaya saathioun ke saath koi deal hoti nazar nahi arahi. Shikanja aur kisa ja raha hai, Nuni leader aur muqtarah ke liye sab se pehla masla yahi hai ke khiladi ke baray mein kisi faislay tak pohanchain, zahir hai ke yeh aisa faisla hona chahiye jo aqli taur par sab ke liye qubool ho.

Woh wapas aaya hai to sab kuch yak dam bhool to nahi sakta uske khilaf paishoun, Zaher-ul-Islamoun aur Razwanoun ne jo jo gil khilaye jo jo sazishain ki woh sab usay yaad hongi. Faiz Hamidoun, Bajwoun aur Raheel Sharifoun ke khufiya aur khule war usay khokane lage honge.

Khiladi aur Askari Khan milkar jo jo karte rahe woh bhalana mushkil hoga usay woh insaf Khan bhi nahi bhool sakte jinhoun ne Panama ke naam par iqaama ke zariye usay saza di, na-ehel qarar diya, uske mandate ke bawajood usay ghar bhej diya usay woh galiyan, be-izzati aur nafrat bhi nahi bhooli hogi jiska samna usko London mein karna pada raha.

Agar tu woh aam leader rehna chahta hai to in sab ziyadatiyon ko yaad rak kar apni policies banaye aur aik aik se badla lay takay aane wale koi muntakhib Wazir-e-Azamoun ke saath aisa na kar sake lekin agar woh azeem leader banna chahta hai to phir Nelson Mandela banna hoga.

Be-nazeer Bhutto ki tarah apni jan ke dushmanoun ko bhi mufahimat ki taraf lana hoga, sab se pehle siyasi kar-daroun mein mufahimat honi chahiye phir hi siyasi aur muqtarah ke muamalat tay honge.

Iske aane ke baad se muqtarah aur ahl-e-siyasat ke darmiyan kayi dehaiyon se jari larai bhi phir se yaad aayegi, usay yeh sawal zaroor pareshan karta hoga ke agar usay iqtidar mil bhi gaya to kya is mein ikhtiyar bhi hoga?

Kya muqtarah ko naye Wazir-e-Azam ki bajaye kahin naye kakar ki talash to nahi. Agar muqtarah ne maashiat, ziraat aur kharja policy khud chalani hai to phir woh iqtidar lekar kya kare ga? Woh teen bar pehle Wazir-e-Azam raha chuka hai is liye is ke liye iqtidar se khali Wazir-e-Azam ka ohda bekar hoga.

Dusri taraf muqtarah ziraat, maashiat, maadaniyat aur kharja amoor ke baray mein bohat se muamalat pehle se tay bethe hain, aise mein Wazir-e-Azam ko ikhtiyar kahan mile ga? Yahi wajah hai ke nayi behas yeh uthai gayi hai ke woh party ko chalaye, intikhabi mehman ko lead kare, plan banaye magar khud Wazir-e-Azam na bane balkay apne chhotay bhai ko hi dobara Wazir-e-Azam banaye kyunke woh muqtarah ke sath chalne ka kamiyab tajruba rakhta hai.

Mera andaza yeh hai ke muamala khandaani tor par pehle se tay ho chuka hai, jis ke mutabiq nunioun ke Wazir-e-Azam ke ummedwar Nawaz Sharif honge, alehdaishaan jeete to woh Wazir-e-Azam banenge taahum woh apni term mukammal nahi karenge saal do saal baad woh apne bhai ko apni jagah le ayenge aur khud hukumat se bahir baith kar un ki raahnumai karenge.

Agli siyasi mein un ki namayinda Maryam hongi, Maryam ki khwahish Wazir-e-Azam Punjab banne ki hai magar ab tak jo muamalat nazar aa rahe hain us mein un ki yeh khwahish election ke foran baad poori hoti nazar nahi aati, is khandaan ko dobara iqtidar mile to ooper aur neeche dono bari seatoun par khud ko rakhna siyasi khudkushi ke mutaradif hoga.

Behtar hoga ke Maryam ko moqa mile to woh Bilawal ki tarah abhi kisi wizarat ya mushawarat ke zariye governance ka mazeed tajruba hasil karen. Sawal yeh paida hota hai ke agar waqai aisa ho jata hai to Shahbaz Sharif aur Hamza Shahbaz kahan accommodated honge? Lagta hai ke isay is baat ka ahsas hai ke Shahbaz aur Hamza ko jagah deni hai is liye minar-e-Pakistan ke stage par Maryam ke baad uski tawajjo ka sab se bara markaz Shahbaz Sharif aur Hamza rahay.

Bada leader woh hota hai jo sirf apne baray mein nahi soche balke apne mukhalifoun ke baray mein bhi soche, sirf apne hamiyoun ko khush karne ki policy nahi banaye balke apne mukhalifoun ko bhi khush karne ke baray mein soche aksar leader tang nazr hote hain woh mukhalif ko maar kar samajhte hain ke unhen zindagi mil jaye gi jabke mukhalif mar jaye to marne wale ki zindagi ke din bhi gine jane shuru ho jate hain.

Yad rahe ke jis din Mian Nawaz Sharif ne Lahore High Court ke badnam zamana faislay ke zariye Be-Nazeer Bhutto ko na-ehel qarar diya tha usi din se yeh tay ho gaya tha ke ab agli bari Nawaz Sharif ki hogi aur wesa hi hua.

Halat-e-Mazi mein jab Imran Khan apne rival Nawaz Sharif ko jail mein daal kar fakhr se seena phulaye phirte thay usi waqt se nazar ana shuru hua tha ke Nawaz Sharif raha honge aur jab Imran Khan iqtidar se utren ge to woh bhi jail yaatra karain ge.

Hairani ki baat hai ke ahl-e-siyasat ko yeh sada si baat kyun samajh nahi aati ke dosron ke liye garha khodne wala khud isi mein girata hai. Ab waqt hai ke woh bada leader bane dosron ke khudayi gaddhe mitti se bharay aur ek nayi siyasi riwayat ka aghaz kare.

Woh is waqt is khate ka sab se tajruba kar siyasi dan hai Modi ho, Taliban ho, Husaina Wajid ho ya Irani qayadat sab is se tajruba mein joaniar hain woh aj se 33 saal pehle bhi Wazir-e-Azam the zaroorat is baat ki hai ke woh ab sirf Wazir-e-Azam na bane balkay tareekh banaye.
جدید تر اس سے پرانی