Aalami Bank ne Pakistan ko 15 crore dollars faraham karne ke liye razamandi zahir ki.

Dastaviz ke mutabiq tawanai sector mansube ke liye 13 crore 50 lakh dollars bator qarz milega, Aalami Bank Pakistan ko 1.5 crore dollars bator grant bhi faraham karega.

Dastaviz mein kaha gaya hai ke mansube ka maqsad tawanai ke shobe ki karkardgi mein behtari o tahaffuz hai, commercial, industrial aur rehaishi imarat ko gas se bijli par muntaqil kiya jayega.

Mansube par amal daraamad se saalana 291 arab 65 crore rupay bachat ka takhmina lagaya gaya hai, tawanai ki bachat karne wali imaratoun ki tameer ki hosla afzai ki jayegi.

Dastaviz mein yeh bhi kaha gaya hai ke tawanai shobe mein niji shobe ki sarmaya kari ko bhi farogh diya jayega.

Previous Post Next Post